Mujhe sahal ho gain manzilen vo hawa ke rukh bhi badal gaye 
Tera hath hath mein a gaya ke chirag rah mein jal gaye

Wo lajaye mere saval par ke utha sake na jhuka ke sar 
Udi zulf chehare pe is tarah ke shabon ke raz machal gaye

Wahi bat jo vo na kar sake mere sher-o-nagma mein a gai
Wahi lab na main jinhen chhu saka qadah-e-sharab mein Dhal gaye

Unhen kab ke ras bhi a chuke teri bazm-e-naz ke hadase
ab uthe ke teri nazar phire jo gire the gir ke sanbhal gaye

Mere kam a gain akhirash yahi kavishen yahi garadishen
badahin is qadar meri manzilen ke qadam ke Khar nikal gaye.
Do you Like this story..?

Get Free Email Updates Daily!

Follow us!