toofani lahrain ho, ambar ke pahre hon.
purwa ke daaman par dag bahut gahre hon.
saagar ke maanjhi mat man ko tu harna.
jeewan ke karam me jo khoya hai, paaya hai.
patjhad ka matlab hai phir basant aana hai!!!!

rajvansh ruthe to, rajmukut tute to.
sitapati-ram se rajmahal chhote to.
asha mat har, par saagar ke ek bar.
patthar me pran phunk, setu phir banana hain.
patjhad ka matlab hai phir basant aana hai !!!!

ghar bhar chahe chode suraj bhi muh mode.
vidur rahe maun chhine rajya swarnrath ghode.
maa ka bas pyar sar geeta ka sath rahen.
panchtatawa sau par hai bhari batlana hai !!!!


zeewan ka rajsuy yagy phir karana hain.
patjhad ka matlab hai phir basant aana hai  !!!!
Do you Like this story..?

Get Free Email Updates Daily!

Follow us!