Hazaaron  khwahishein  aisi ke har khwahish pe dum nikle
Bahut nikle mere armaan, lekin phir bhi kamnikle.

Daray kyon mera qaatil? kya rahega us ki gardanpar?
woh khoon,jo chashme-tar se umr bhar yudum-ba-dum nikle

Dare kyon mera qatil? kya rahega us ki gardanpar?
woh khoon,jo chashme-tar se umr bhar yudum-ba-dum nikle

Nikalna khuld se aadam ka sunte aaye hain lekin
Bahut be-aabru hokar tere kuche se hum nikle.

Bharam khul jaye zaalim! teri qaamat ki darazika
Agar is tirahe par pech-o-kham ka pech-o-khamnikle.

Magar likhwaye koi usko khat, to hum se likhwaye
Hui subah, aur ghar se kaan par rakh kar qalamnikle.

Hui is daur mein mansoob mujh se bada aashaami
Phir aaya woh zamaana, jo jahaan meinjaam-e-jaam nikle.

Hui jin se tawaqqa khastagi ki daad pane ki
woh hum se bhi zyada khasta e tegh e sitam nikle.

Mohabbat me nahi hai farq jeene aur marne ka
Usi ko dekh kar jeete hain, jis kaafir pe dumnikle. 

Zara kar jor seene par ki teer-e-pursitam nikle
Jo wo nikle to dil nikle, jo dilnikle to dum nikle.

Khuda ke waste parda na qaabe se utha zaaleem
Kahi aisa na ho yaan bhi wahi kaafir sanam nikle.

Kahaa maikhane ka darwaza Ghalib aur kahaa waaiz
Par itna jaante hain kal woh jata tha ke humnikle.

Hazaaron khwahishein aisi ke har khwahish pe dumnikle
Bahut nikle mere armaan, lekin phir bhi kamnikle...
Do you Like this story..?

Get Free Email Updates Daily!

Follow us!