Home » Kaifi Azmi
Mein dhundhta hun jise wo jahan nahi milta by Kaifi Azmi

Mein dhundhta hun jise wo jahan nahi milta.. 
nai zamin nya asman nahi milta.. 
 
nai zami naya asaman bhi mill jaye.. 
naye bashar ka kahi kuchh nishan nahi milta.. 
 
wo tej mil gai jis se hua hai qatal mera.. 
kisi ke hath ka us par nishan nahi milta... 
 
wo mera ganw hai wo mere gaanw ke chulhe.. 
ki jin me shole to shole dhuan nahi milta... 
 
jo ikk khuda nahin milta to itna matam kyu.. 
yaha to koi mera hamzaban nahi milta.. 
 
khada hun kab se mai cheharo ke ekk jangal me.. 
tumhare chehare ka kuchh bhi yahan nahi milta...!!! 

koi ye kaise bata ye ke wo tanha kyo hai by Kaifi Azmi

koi ye kaise bata ye ke wo tanha kyo hai... 
wo jo apna tha wohi aur kisi ka kyo hai.. 
yahi duniya hai to phirr aisi ye duniya kyo hai.. 
yahi hota hai to aakhir yahi hota kyo hai.. 
 
ekk zara hath badha,de to pakdale daman.. 
uske seene me sama jaye hamari dhadkan.. 
itani qurbat hai to fir fasla itna kyo hai.. 
 
dile barbad se nikla nahi ab tak koi.. 
ekk lute ghar pe diya karta hai dastak koi...
as jo tut gayi fir se bandhata kyo hai.. 
 
tum masrrat ka kaho ya ise gam ka rishta.. 
kahte hai pyar ka rishta hai janam ka rishta... 
hai janam ka jo ye rishta to badalta kyon hai...!! 

Jhuki jhuki si nazar beqarar hai ki nahi by Kaifi Azmi

Jhuki jhuki si nazar beqarar hai ki nahi.. 
daba daba sa sahi dil me pyar hai ki nahi.. 
 
tu apne dil ki jawan dhadkano ko gin ke bata.. 
meri trah tera dil beqrar hai ki nahi.. 
 
wo pal ke jis me muhabbat jawan hoti hai.. 
us ekk pal ka tujhe intzar hai ki nahi.. 
 
teri ummid pe thukra raha hun duniya ko.. 
tujhe bhi apne pe ye aitbar hai ki nahi...!!!! 