Home » Khwaja Haidar Ali Aatish
Yar ko mai ne mujhe yar ne sone na diya by Khwaja Haidar Ali Aatish

Yar ko mai ne mujhe yar ne sone na diya... 
rat bhar talie-bedar ne sone na diya.. 
 
ek shabb bulbule-betab ke jage na nasib.. 
pahalue-gul me kabhi khar ne sone na diya.. 
 
rat bhar ki dile-betab ne bate mujh se.. 
mujh ko iss ishq ke bimar ne sone na diya.. 

suun to sahi jahan me hai tera fasana kya by Khwaja Haidar Ali Aatish

suun to sahi jahan me hai tera fasana kya.. 
kahti hai tujh se khalqe-khuda gaibana kya.. 
 
zina saba ka dhundhati hai apni mushte-khak.. 
bame-baland yar ka hai astana kya.. 
 
aati hai kiis tarah se meri kabze-ruh ko.. 
dekhun to maut dhundh rahi hai bahana kya.. 
 
betab hai kamal hamara dile-azim.. 
mehman saraye-jism ka hoga ravna kya..!!! 

tadpate hai na rote hai na ham fariyad karte hai by Khwaja Haidar Ali Aatish

tadpate hai na rote hai na ham fariyad karte hai.. 
sanam ki yad me hardam khuda ko yad karte hai.. 
 
unhi ke ishq me ham nala-o-fariyad karte hai.. 
ilahi dekhiye kis din hame wo yad karte hai.. 
 
shabe-furqat me kya kya sanp laharate hai sine par.. 
tumhari kakule-pechan ko jab ham yad karte hai...!!!! 