Home » Gulzar
Jo koi samajh na paye wo baat hu mai .....

जो कोई समझ ना पाये  !
वो बात हूँ मै,
जो ढल के नई सुबह लाये !
वो रात हूँ मैं,
चले जाते हैं लोग दुनिया से रिश्ते बनाकर ,
जो कभी छोड़ के ना जाये,
वो साथ हूँ मैं !

                                     Submitted by
                                               Unknown

Kadam usi mod par jame hai by Gulzar

Kadam usi mod par jame hai.. 
nazar samete huye khada hu.. 
 
junun ye majbur kar raha hai palat ke dekhu.. 
khudi ye kahti hai mod mud ja.. 
 
Agarche ahasas kah raha hai.. 
khule dariche ke pichhe do aankhen jhankti hai.. 
 
abhi mere intzar me wo bhi jagti hai.. 
kahi to us ke goshae-dil me dard hoga.. 
 
use ye zid hai ki mai pukarun.. 
mujhe taqaza hai wo bula le.. 
 
kadam usi mod par jame hai.. 
nazar samete huye khada hu...!!! 

Nazm ulajhi hui hai sine me by Gulzar

Nazm ulajhi hui hai sine me..
misre atake huye hai hothon par

udate firte hai titaliyo ki tarah..
lafz kagaz pe baithte hi nahi.. 

kab se baitha hun main janam..
sade kagaz pe likh ke nam tera 

bas tera naam hi mukmmal hai..
isse behatar bhi nazm kya hogi..!!!

Nazm ulajhi hui hai sine me by Gulzar

Nazm ulajhi hui hai sine me..
misre atake huye hai hothon par

udate firte hai titaliyo ki tarah..
lafz kagaz pe baithte hi nahi.. 

kab se baitha hun main janam..
sade kagaz pe likh ke nam tera 

bas tera naam hi mukmmal hai..
isse behatar bhi nazm kya hogi..!!!

Mai apne ghar me hi ajnabi ho gaya hu aa kar by Gulzar

Mai apne ghar me hi ajnabi ho gaya hu aa kar..
mujhe yaha dekh kar meri ruh darr gayi hai..

saham ke sab arzuen kono me ja chhupi hai..
lawe bujha di hai apne chehro ki, hasrato ne..

ki sauq pahchanta hi nahi..
muraden dahliz hi pe sar rakh ke marr gayi hai.. 

mai kiis watan ki talash me yu chala tha ghar se..
ki apne ghar me bhi ajnabi ho gaya hun aa kar..!!!