Home » Shakeel Badayuni
Har baat niraali thi by Abdul kalam azad

हर बात निराली थी,
मोहब्बत के साथ हर रात निराली थी। .!!
तन्हा थे जीवन में ,
खुशियों की हर ताक निराली थी..!!

            Submitted by
                      "Abdul kalam Azad "

bana bana ke tamnna mitai jati hai by Shakeel Badayuni

bana bana ke tamnna mitai jati hai..
tarah tarah se wafa azmai jati hai..
 
jab unn ko meri muhabbat ka aitbar nahi..
to jhuka jhuka ke nazar kyo milai jati hai..
 
hamare dil ka pata wo hame nahi dete..
hamari chiz hami se chhupai jati hai..
 
“Shakeel” durie-manzil se naummid na ho..
manzil ab aa hi jati hai ab aa hi jati hai..!!!

Ai mohabbat tere anjam pe rona aya by Shakeel Badayuni

Ai mohabbat tere anjam pe rona aya..
jane kyo aaj tere nam pe rona aaya..
 
yun to har sham ummido me guzar jati thi..
aj kuchh bat hai jo sham pe rona aaya..
 
kabhi taqdir ka matam kabhi duniya ka gila..
manzile-ishq me har gam pe rona aaya.. 
 
jab hua zikar zamane me mohabbat ka “Shakeel”..
mujh ko apne dile-nakam pe rona aaya..!!!

Aankh se aankh milata hai koi by Shakeel Badayuni

Aankh se aankh milata hai koi..
dil ko khinch liye jata hai koi.. 

wae-hairat ke bhari mehafil me..
mujh ko tanha nazar aata hai koi.. 

chahiye khud pe yaqine-kamil..
hausla kiis ka badhata hai koi.. 

sab karishmate-taswvur hai "Shakeel"..
warna aata hai na jata hai koi..!!!